farishton se mohabbat kar rahe hain
farishtoñ se mohabbat kar rahe haiñ
javānī meñ ibādat kar rahe haiñ
vo ab khul kar ināyat kar rahe haiñ
sharārat bā-jamā.at kar rahe haiñ
faqīroñ ko amīrī mil ga.ī hai
zamīñ par bādshāhat kar rahe haiñ
ḳhudāvandā tere ma.asūm bande
vafā kī phir himāqat kar rahe haiñ
hamārī raah meñ kāñTe bichhā kar
sitam vo hasb-e-ādat kar rahe haiñ
nazar aa kar utar jaate haiñ dil meñ
ye chehre kyā qayāmat kar rahe haiñ
zamāna raah par aa jaa.e 'tābish'
ye ḳhvāhish mā-badaulat kar rahe haiñ
farishton se mohabbat kar rahe hain
jawani mein ibaadat kar rahe hain
wo ab khul kar inayat kar rahe hain
shararat ba-jamaat kar rahe hain
faqiron ko amiri mil gai hai
zamin par baadshahat kar rahe hain
KHudawanda tere masum bande
wafa ki phir himaqat kar rahe hain
hamari rah mein kanTe bichha kar
sitam wo hasb-e-adat kar rahe hain
nazar aa kar utar jate hain dil mein
ye chehre kya qayamat kar rahe hain
zamana rah par aa jae 'tabish'
ye KHwahish ma-badaulat kar rahe hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.