fariyaad-e-junun aur hai bulbul ki fughan aur
fariyād-e-junūñ aur hai bulbul kī fuġhāñ aur
sahrā kī zabāñ aur hai gulshan kī zabāñ aur
kaT jaa.e zabāñ terī to ho garm zabāñ aur hai
allāh ne dī hai tujhe ai sham.a zabāñ aur
jannat bhī hai dozaḳh bhī hai siine meñ hamāre
ye dāġh-e-nihāñ aur hai ye soz-e-nihāñ aur
ho jaa.e sach iflās meñ suntā huuñ rahegā
do-chār mahīne abhī māh-e-ramazāñ aur
āġhāz-e-mohabbat meñ ye dil ḳhuun huā hai
ro.eñge abhī dīda-e-ḳhūñ-nāba-fishāñ aur
duniyā meñ ab aisā qadar-andāz nahīñ hai
hote hī hadaf dil ke chaḌhī un kī kamāñ aur
jo piite haiñ piite nahīñ vo bhī ramzān meñ
suntā huuñ koī band huī mai kī dukāñ aur
achchhā hai raheñ jā ke lag donoñ-jahāñ se
ushshāq ke rahne ko bane ek jahāñ aur
piine kā mazā jab hai ki muñh ḳhum se lagā hai
mujh riñd se saaqī ye kahe jaa.e ki haañ aur
niklā hai mirā naam ki benām-o-nishāñ huuñ
mujh sā bhī na hogā koī benām-o-nishāñ aur
suntā huuñ musalmānoñ meñ ab maañg bahut hai
Dartā huuñ mai-e-nāb na ho jaa.e garāñ aur
pahuñche dar-o-dīvār ko nuqsān to kyā ġham
rone ke liye leñge kirā.e kā makāñ aur
tez ātish-e-sayyāl hai pahle se ziyāda
ab aag lagā.e na zarā pīr-e-muġhāñ aur
dī ham ne jagah dil ko bhī āñkhoñ ke barābar
āñkhoñ meñ samāte nahīñ vo ho ke javāñ aur
marne kā 'riyāz' apne zarā naam na lenā
jiinā abhī mar-mar ke tujhe hai mirī jaañ aur
fariyaad-e-junun aur hai bulbul ki fughan aur
sahra ki zaban aur hai gulshan ki zaban aur
kaT jae zaban teri to ho garm zaban aur hai
allah ne di hai tujhe ai shama zaban aur
jannat bhi hai dozaKH bhi hai sine mein hamare
ye dagh-e-nihan aur hai ye soz-e-nihan aur
ho jae sach iflas mein sunta hun rahega
do-chaar mahine abhi mah-e-ramazan aur
aaghaz-e-mohabbat mein ye dil KHun hua hai
roenge abhi dida-e-KHun-naba-fishan aur
duniya mein ab aisa qadar-andaz nahin hai
hote hi hadaf dil ke chaDhi un ki kaman aur
jo pite hain pite nahin wo bhi ramzan mein
sunta hun koi band hui mai ki dukan aur
achchha hai rahen ja ke lag donon-jahan se
ushshaq ke rahne ko bane ek jahan aur
pine ka maza jab hai ki munh KHum se laga hai
mujh rind se saqi ye kahe jae ki han aur
nikla hai mera nam ki benam-o-nishan hun
mujh sa bhi na hoga koi benam-o-nishan aur
sunta hun musalmanon mein ab mang bahut hai
Darta hun mai-e-nab na ho jae garan aur
pahunche dar-o-diwar ko nuqsan to kya gham
rone ke liye lenge kirae ka makan aur
tez aatish-e-sayyal hai pahle se ziyaada
ab aag lagae na zara pir-e-mughan aur
di hum ne jagah dil ko bhi aankhon ke barabar
aankhon mein samate nahin wo ho ke jawan aur
marne ka 'riyaz' apne zara nam na lena
jina abhi mar-mar ke tujhe hai meri jaan aur
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.