farq koi nahin magar hai bhi!
farq koī nahīñ magar hai bhii!
talḳh donoñ haiñ zahr bhī mai bhī
shor itnā hai jis ke hone kā
kaun jaane ki vo kahīñ hai bhī
sīna-e-ādmī kī baat hai aur
yuuñ to chhalnī hai sīna-e-nai bhī
yuuñ bhī chup huuñ tire badalne par
pahle jaisī nahīñ koī shai bhī
mere baare meñ sochne vaale
mere baare meñ kuchh kareñ tai bhī
de rahe haiñ vahī mujhe dushnām
bolnī hai jinheñ mirī jai bhī
sur badalne kā thā mahal 'rāshid'
tum ne badlī nahīñ magar lai bhī
farq koi nahin magar hai bhi!
talKH donon hain zahr bhi mai bhi
shor itna hai jis ke hone ka
kaun jaane ki wo kahin hai bhi
sina-e-admi ki baat hai aur
yun to chhalni hai sina-e-nai bhi
yun bhi chup hun tere badalne par
pahle jaisi nahin koi shai bhi
mere bare mein sochne wale
mere bare mein kuchh karen tai bhi
de rahe hain wahi mujhe dushnam
bolni hai jinhen meri jai bhi
sur badalne ka tha mahal 'rashid'
tum ne badli nahin magar lai bhi
- Book : Monthly Usloob (Pg. 387)
- Author : Mushfiq Khawaja
- Publication : Usloob 3D 9—26 Nazimabad karachi 180007 (Oct. õ Nov. 1983,Issue No. 5-6)
- Edition : Oct. õ Nov. 1983,Issue No. 5-6
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.