farq kuchh to chahiye aghyar se
farq kuchh to chāhiye aġhyār se
sirr-e-ulfat ham chhupā.eñ yaar se
apnī āñkhoñ se agar tashbīh duuñ
ashk Tapke rauzan-e-dīvār se
baat un kī mo'tabar hai sach kahā
haal merā pūchhiye aġhyār se
us kī choTī meñ nahīñ mūbāf surḳh
uThe haiñ shole dahān-e-mār se
dhuup meñ baiThūñ ki ḳhajlat se udū
bhaag jaa.eñ sāya-e-dīvār se
paas se tere uThātī ġhair ko
zor ho saktā jo chashm-e-zār se
chhūTtī haiñ muñh pe kyā mahtābiyāñ
vasl ke din sāya-e-dīvār se
sau tarah kī fikr meñ taskīñ' paḌe
dil lagā kar us but-e-ayyār se
farq kuchh to chahiye aghyar se
sirr-e-ulfat hum chhupaen yar se
apni aankhon se agar tashbih dun
ashk Tapke rauzan-e-diwar se
baat un ki mo'tabar hai sach kaha
haal mera puchhiye aghyar se
us ki choTi mein nahin mubaf surKH
uThe hain shole dahan-e-mar se
dhup mein baiThun ki KHajlat se udu
bhag jaen saya-e-diwar se
pas se tere uThati ghair ko
zor ho sakta jo chashm-e-zar se
chhuTti hain munh pe kya mahtabiyan
wasl ke din saya-e-diwar se
sau tarah ki fikr mein taskin' paDe
dil laga kar us but-e-ayyar se
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.