farsh-e-maKHmal pe kabhi nind na aai mujhko
farsh-e-maḳhmal pe kabhī niiñd na aa.ī mujh ko
itnī raas aa.ī mire ghar kī chaTā.ī mujh ko
baat sāhil kī jo hotī to sañbhal bhī jaatā
us ne mañjdhār meñ auqāt batā.ī mujh ko
azm par mere musallat hai junūñ manzil kā
kaise rokegī mirī ābla-pā.ī mujh ko
jis ne jis tarah se chāhā mujhe badnām kiyā
raas aa.ī nahīñ duniyā kī bhalā.ī mujh ko
zulmat-e-shab meñ maiñ tanhā hī laḌūñgā 'ālam'
in charāġhoñ ne agar aañkh dikhā.ī mujh ko
farsh-e-maKHmal pe kabhi nind na aai mujh ko
itni ras aai mere ghar ki chaTai mujh ko
baat sahil ki jo hoti to sanbhal bhi jata
us ne manjdhaar mein auqat batai mujh ko
azm par mere musallat hai junun manzil ka
kaise rokegi meri aabla-pai mujh ko
jis ne jis tarah se chaha mujhe badnam kiya
ras aai nahin duniya ki bhalai mujh ko
zulmat-e-shab mein main tanha hi laDunga 'alam'
in charaghon ne agar aankh dikhai mujh ko
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.