farsh-e-maqtal ko sajao chah se arman se
farsh-e-maqtal ko sajāo chaah se armān se
raqs karne aa.e haiñ ham ik na.e unvān se
dil hai raushan zindagī ke ik na.e irfān se
apnā rishta kaT chukā hai kufr se īmān se
tang-dāmānī se apnī sharm aa.e ḳhud hameñ
dard kā rishta jo toḌeñ ham kisī insān se
maut hai kamzor kī arzāñ hamesha kī tarah
qahrmānī hai vahī go dūsre unvān se
ḳhuun kī har buuñd māñge ḳhūñ-bahā maqtal meñ aaj
kaam ab bantā nahīñ hai va.ada-o-paimān se
jagmagāte dekh le phir hurriyat ke bām-o-dar
baad mere ye rahe the kuchh dinoñ vīrān se
amn ho insāf ho aur ho mohabbat kī fazā
ek duniyā ham banā.eñ ik na.e unvān se
āb-o-gil se dīda-e-bedār paidā kar diyā
ham bhī chhūTe zindagī ke ik baḌe ehsān se
raqs-e-majnūñ tesha-e-farhād se ābād the
dasht-o-sahrā ab to lagte haiñ baḌe sunsān se
jin ke hāthoñ shahr saarā aag kā tūfān hai
bazm meñ baiThe haiñ kaise vo bane anjān se
farsh-e-maqtal ko sajao chah se arman se
raqs karne aae hain hum ek nae unwan se
dil hai raushan zindagi ke ek nae irfan se
apna rishta kaT chuka hai kufr se iman se
tang-damani se apni sharm aae KHud hamein
dard ka rishta jo toDen hum kisi insan se
maut hai kamzor ki arzan hamesha ki tarah
qahrmani hai wahi go dusre unwan se
KHun ki har bund mange KHun-baha maqtal mein aaj
kaam ab banta nahin hai wada-o-paiman se
jagmagate dekh le phir hurriyat ke baam-o-dar
baad mere ye rahe the kuchh dinon viran se
amn ho insaf ho aur ho mohabbat ki faza
ek duniya hum banaen ek nae unwan se
aab-o-gil se dida-e-bedar paida kar diya
hum bhi chhuTe zindagi ke ek baDe ehsan se
raqs-e-majnun tesha-e-farhad se aabaad the
dasht-o-sahra ab to lagte hain baDe sunsan se
jin ke hathon shahr sara aag ka tufan hai
bazm mein baiThe hain kaise wo bane anjaan se
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.