fasadon ke liye rahen yun samjho khol deta hai
fasādoñ ke liye rāheñ yuuñ samjho khol detā hai
umaDtī bhiiḌ se jaane vo kyā kuchh bol detā hai
na samjhā aaj tak koī bhī us kī is siyāsat ko
kisī key jholī bhartā hai kise kashkol detā hai
tum us ke zulm kā logo lagāo is se andāza
vo rassī kaaT kar hāthoñ meñ jis dam Dol detā hai
banātā hai sadā ham ko tashaddud kā nishāna vo
fazā-e-amn meñ zahr-e-halāhil ghol detā hai
vo daulat jis kā duniyā meñ nahīñ hai koī bhī 'sānī'
moallim saarī duniyā ko vo shai anmol detā hai
fasadon ke liye rahen yun samjho khol deta hai
umaDti bhiD se jaane wo kya kuchh bol deta hai
na samjha aaj tak koi bhi us ki is siyasat ko
kisi key jholi bharta hai kise kashkol deta hai
tum us ke zulm ka logo lagao is se andaza
wo rassi kaT kar hathon mein jis dam Dol deta hai
banata hai sada hum ko tashaddud ka nishana wo
faza-e-amn mein zahr-e-halahil ghol deta hai
wo daulat jis ka duniya mein nahin hai koi bhi 'sani'
moallim sari duniya ko wo shai anmol deta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.