fasil-e-dard ko main mismar karne wali hun
fasīl-e-dard ko mismār karne vaalī huuñ
maiñ āñsuoñ kī nadī paar karne vaalī huuñ
mujhe ḳhudā kī razā se hai vāsta har dam
maiñ ḳhud-numā.ī se inkār karne vaalī huuñ
ye us kī marzī ki iqrār vo kare na kare
maiñ aaj ḳhvāhish-e-iz.hār karne vaalī huuñ
vo jis ne kī hai hamesha muḳhālifat merī
usī ko apnā madad-gār karne vaalī huuñ
vafā kī raah meñ ḳhud ko tabāh kar ke maiñ
tamām shahr ko bedār karne vaalī huuñ
koī na Daale nigāh-e-ġhalat ki maiñ apne
nihatte hāthoñ ko talvār karne vaalī huuñ
fasil-e-dard ko mismar karne wali hun
main aansuon ki nadi par karne wali hun
mujhe KHuda ki raza se hai wasta har dam
main KHud-numai se inkar karne wali hun
ye us ki marzi ki iqrar wo kare na kare
main aaj KHwahish-e-izhaar karne wali hun
wo jis ne ki hai hamesha muKHalifat meri
usi ko apna madad-gar karne wali hun
wafa ki rah mein KHud ko tabah kar ke main
tamam shahr ko bedar karne wali hun
koi na Dale nigah-e-ghalat ki main apne
nihatte hathon ko talwar karne wali hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.