fasl-e-gul aisi na thi baad-e-saba aisi na thi
fasl-e-gul aisi na thi baad-e-saba aisi na thi
Abdul Mannan Samadi
MORE BYAbdul Mannan Samadi
fasl-e-gul aisī na thī bād-e-sabā aisī na thī
aaj se pahle zamāne kī havā aisī na thī
ye libās-e-gul ye nazm-e-gulsitāñ aisā na thā
surḳhī-e-rang-e-shafaq bū-e-hinā aisī na thī
meherbāñ jis par hue us kī bujhā dī tishnagī
mere ghar par jo barastī vo ghaTā aisī na thī
tum ne dānista vafā ke dā.ere kam kar diye
varna pahle dilbarī kī ye adā aisī na thī
aaj ham ne sach kahā to sab muḳhālif ho ga.e
varna ye duniyā kabhī ham se ḳhafā aisī na thī
fasl-e-gul aisi na thi baad-e-saba aisi na thi
aaj se pahle zamane ki hawa aisi na thi
ye libas-e-gul ye nazm-e-gulsitan aisa na tha
surKHi-e-rang-e-shafaq bu-e-hina aisi na thi
meherban jis par hue us ki bujha di tishnagi
mere ghar par jo barasti wo ghaTa aisi na thi
tum ne danista wafa ke daere kam kar diye
warna pahle dilbari ki ye ada aisi na thi
aaj hum ne sach kaha to sab muKHalif ho gae
warna ye duniya kabhi hum se KHafa aisi na thi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.