fasl-e-gul hai sajā hai mai-ḳhāna
chal mire dil khulā hai mai-ḳhāna
shaam ke vaqt baiThne ke liye
sab se achchhī jagah hai mai-ḳhāna
ḳhat hai shāyad kisī sharābī kā
ḳhat ke uupar likhā hai mai-ḳhāna
kis tarah chhoḌ duuñ ise vaa.iz
mushkiloñ se milā hai mai-ḳhāna
zindagī jab guzārnī hai kahīñ
yaar phir kyā burā hai mai-ḳhāna
jab se vo aañkh hai ḳhafā ham se
yuuñ lage hai ḳhafā hai mai-ḳhāna
fasl-e-gul hai saja hai mai-KHana
chal mere dil khula hai mai-KHana
sham ke waqt baiThne ke liye
sab se achchhi jagah hai mai-KHana
KHat hai shayad kisi sharabi ka
KHat ke upar likha hai mai-KHana
kis tarah chhoD dun ise waiz
mushkilon se mila hai mai-KHana
zindagi jab guzarni hai kahin
yar phir kya bura hai mai-KHana
jab se wo aankh hai KHafa hum se
yun lage hai KHafa hai mai-KHana
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.