fasl-e-gul kab luTi nahin malum
fasl-e-gul kab luTī nahīñ mā'lūm
kab bahār aa.ī thī nahīñ mā'lūm
ham bhaTakte rahe añdhere meñ
raushnī kab huī nahīñ mā'lūm
kab vo guzre qarīb se dil ke
niind kab aa ga.ī nahīñ mā'lūm
dard jab jab uThā huā mahsūs
choT kab kab lagī nahīñ mā'lūm
bebasī jis kī ziist ho us ko
ziist kī bebasī nahīñ mā'lūm
naaz sajdoñ pe hai hameñ lekin
nāzish-e-bandagī nahīñ mā'lūm
apnī hālat pe tere vahshī ko
kyuuñ hañsī aa ga.ī nahīñ mā'lūm
hosh aayā to mai-kada na rahā
haa.e kis vaqt pī nahīñ mā'lūm
merī jānib vo dekh kar bole
hai koī ajnabī nahīñ mā'lūm
daur-e-hāzir kī bazm meñ 'bekal'
kaun hai aadmī nahīñ mā'lūm
fasl-e-gul kab luTi nahin ma'lum
kab bahaar aai thi nahin ma'lum
hum bhaTakte rahe andhere mein
raushni kab hui nahin ma'lum
kab wo guzre qarib se dil ke
nind kab aa gai nahin ma'lum
dard jab jab uTha hua mahsus
choT kab kab lagi nahin ma'lum
bebasi jis ki zist ho us ko
zist ki bebasi nahin ma'lum
naz sajdon pe hai hamein lekin
nazish-e-bandagi nahin ma'lum
apni haalat pe tere wahshi ko
kyun hansi aa gai nahin ma'lum
hosh aaya to mai-kada na raha
hae kis waqt pi nahin ma'lum
meri jaanib wo dekh kar bole
hai koi ajnabi nahin ma'lum
daur-e-hazir ki bazm mein 'bekal'
kaun hai aadmi nahin ma'lum
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.