fasl-e-gul mein bhi tahi kyon na ho daman apna
fasl-e-gul meñ bhī tahī kyoñ na ho dāman apnā
bāġhbāñ apnā fazā apnī na gulshan apnā
jurm-e-nā-shukr-guzārī kī sazā kuchh to mile
apne hāthoñ se luTāyā thā nasheman apnā
barq-bārī hī sahī jashn-e-charāġhāñ na sahī
ek lamhe ke liye ghar to ho raushan apnā
ab to āvāz-e-tanaffus pe ye hotā hai gumāñ
jaise maiñ marsiyāñ-ḳhvāñ huuñ sar-e-madfan apnā
karūñ kis dil se bahāroñ kī tamannā 'at.har'
maiñ to phūloñ se jalā baiThā huuñ dāman apnā
fasl-e-gul mein bhi tahi kyon na ho daman apna
baghban apna faza apni na gulshan apna
jurm-e-na-shukr-guzari ki saza kuchh to mile
apne hathon se luTaya tha nasheman apna
barq-bari hi sahi jashn-e-charaghan na sahi
ek lamhe ke liye ghar to ho raushan apna
ab to aawaz-e-tanaffus pe ye hota hai guman
jaise main marsiyan-KHwan hun sar-e-madfan apna
karun kis dil se bahaaron ki tamanna 'athar'
main to phulon se jala baiTha hun daman apna
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.