fasl-e-gul se zar-e-KHizan tak hai
fasl-e-gul se zar-e-ḳhizāñ tak hai
'umr donoñ ke darmiyāñ tak hai
fāsle haiñ bahut kaThin is ke
rah-guzar dil se jo zabāñ tak hai
ek din ḳhāl-o-ḳhad ubhāregī
jo haqīqat mire gumāñ tak hai
vaqt kar degā aa.ina ḳhud hī
kaun sā ham-safar kahāñ tak hai
ḳhush-gumānī hai jo mire andar
vo bhī shāyad tire bayāñ tak hai
kaash hotī diloñ ke biich 'munīr'
ye rasā.ī jo āsmāñ tak hai
fasl-e-gul se zar-e-KHizan tak hai
'umr donon ke darmiyan tak hai
fasle hain bahut kaThin is ke
rah-guzar dil se jo zaban tak hai
ek din KHal-o-KHad ubhaaregi
jo haqiqat mere guman tak hai
waqt kar dega aaina KHud hi
kaun sa ham-safar kahan tak hai
KHush-gumani hai jo mere andar
wo bhi shayad tere bayan tak hai
kash hoti dilon ke bich 'munir'
ye rasai jo aasman tak hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.