ghar ki buniyaaden diwaren baam-o-dar the babu ji
ghar kī buniyādeñ dīvāreñ bām-o-dar the baabū jī
sab ko bāñdh ke rakhne vaalā ḳhaas hunar the baabū jī
tiin mohalloñ meñ un jaisī qad kāThī kā koī na thā
achchhe-ḳhāse ūñche puure qad-āvar the baabū jī
ab to us suune māthe par kore-pan kī chādar hai
ammā jī kī saarī saj-dhaj sab zevar the baabū jī
bhītar se ḳhālis jazbātī aur uupar se TheTh pitā
alag anūThā anbūjhā sā ik tevar the baabū jī
kabhī baḌā sā hāth-ḳharch the kabhī hathelī kī sūjan
mere man kā aadhā sāhas aadhā Dar the baabū jī
ghar ki buniyaaden diwaren baam-o-dar the babu ji
sab ko bandh ke rakhne wala KHas hunar the babu ji
tin mohallon mein un jaisi qad kaThi ka koi na tha
achchhe-KHase unche pure qad-awar the babu ji
ab to us sune mathe par kore-pan ki chadar hai
amma ji ki sari saj-dhaj sab zewar the babu ji
bhitar se KHalis jazbaati aur upar se TheTh pita
alag anuTha anbujha sa ek tewar the babu ji
kabhi baDa sa hath-KHarch the kabhi hatheli ki sujan
mere man ka aadha sahas aadha Dar the babu ji
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.