ghar mein ek raat zabanon pe tha hae abbu
ghar meñ ik raat zabānoñ pe thā haa.e abbū
phir kabhī lauT ke vāpas nahīñ aa.e abbū
āḳhirī pahr meñ jā ke kahīñ niiñd aatī hai
aur phir ḳhvāb meñ siine se lagā.e abbū
yuuñ to nau fard the hālāñki bharam rakhne ko
piir koī na samajh paayā sivā.e abbū
merā beTā bhī baḌā ho ke samajh jā.egā
maiñ bhī rotā thā khilaune nahīñ laa.e abbū
kaash ik roz maiñ jāgūñ to purāne din hoñ
un ko aḳhbār duuñ aur pūchh luuñ chaa.e abbū
jab safar ke liye tayyāriyāñ karte karte
thak ga.e to mire hāthoñ se nahā.e abbū
ghar mein ek raat zabanon pe tha hae abbu
phir kabhi lauT ke wapas nahin aae abbu
aaKHiri pahr mein ja ke kahin nind aati hai
aur phir KHwab mein sine se lagae abbu
yun to nau fard the haalanki bharam rakhne ko
pir koi na samajh paya siwae abbu
mera beTa bhi baDa ho ke samajh jaega
main bhi rota tha khilaune nahin lae abbu
kash ek roz main jagun to purane din hon
un ko aKHbar dun aur puchh lun chae abbu
jab safar ke liye tayyariyan karte karte
thak gae to mere hathon se nahae abbu
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.