Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

purane ghar ko giraya to bap rone laga

Shahzad Qais

purane ghar ko giraya to bap rone laga

Shahzad Qais

MORE BYShahzad Qais

    purāne ghar ko girāyā to baap rone lagā

    ḳhushī ne dil dukhāyā to baap rone lagā

    jo ammī na rahīñ to kyā huā ki ham sab haiñ

    javāb ban nahīñ paayā to baap rone lagā

    ye raat khāñste rahte haiñ koft hotī hai

    bahū ne sab meñ jatāyā to baap rone lagā

    biThā ke rikshe meñ kal shab ravāna karte hue

    diyā jo maiñ ne kirāya to baap rone lagā

    hameñ banā diye kamre ḳhud us ko T v par

    madīna jab nazar aayā to baap rone lagā

    kal us ke dost ko bāhar se Tālne ke baad

    use faqīr batāyā to baap rone lagā

    bahan ravāngī se pahle pyaar lene ga.ī

    jo kuchh bhī de nahīñ paayā to baap rone lagā

    kiyā kyā hai bhalā aaj tak hamāre liye

    savāl jūñhī uThāyā to baap rone lagā

    tabīb kahtā thā pāgal ko kuchh bhī yaad nahīñ

    gale se maiñ ne lagāyā to baap rone lagā

    na jaane 'qais' ne kis jazbe se ye kyā likkhā

    ki jūñhī paḌh ke sunāyā to baap rone lagā

    purane ghar ko giraya to bap rone laga

    KHushi ne dil sa dukhaya to bap rone laga

    jo ammi na rahin to kya hua ki hum sab hain

    jawab ban nahin paya to bap rone laga

    ye raat khanste rahte hain koft hoti hai

    bahu ne sab mein jataya to bap rone laga

    biTha ke rikshe mein kal shab rawana karte hue

    diya jo main ne kiraya to bap rone laga

    hamein bana diye kamre KHud us ko T w par

    madina jab nazar aaya to bap rone laga

    kal us ke dost ko bahar se Talne ke baad

    use faqir bataya to bap rone laga

    bahan rawangi se pahle pyar lene gai

    jo kuchh bhi de nahin paya to bap rone laga

    kiya hi kya hai bhala aaj tak hamare liye

    sawal junhi uThaya to bap rone laga

    tabib kahta tha pagal ko kuchh bhi yaad nahin

    gale se main ne lagaya to bap rone laga

    na jaane 'qais' ne kis jazbe se ye kya likkha

    ki junhi paDh ke sunaya to bap rone laga

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now