faza aisi ba-faiz-e-baghban malum hoti hai
fazā aisī ba-faiz-e-bāġhbāñ ma.alūm hotī hai
bahār-e-gulsitāñ misl-e-ḳhizāñ ma.alūm hotī hai
kuchh apnoñ kā karam hai kuchh nigāh-e-asr-e-hāzir hai
hayāt ik hasratoñ kī dāstāñ ma.alūm hotī hai
ajab tahqīr sī tafrīq-o-be-zārī sī nafrat sī
darūn-e-qalb mīr-e-kārvāñ ma.alūm hotī hai
diloñ meñ masjidoñ meñ mandiroñ meñ dars-gāhoñ meñ
siyāsat hī siyāsat hukmrāñ ma.alūm hotī hai
girānī rishvateñ ghaple ġhaban ifsād golī bam
yahī āzādī-e-hindostāñ ma.alūm hotī hai
ḳhushāmad is qadar bhī sāthiyo achchhī nahīñ lagtī
tumhāre muñh meñ auroñ kī zabāñ ma.alūm hotī hai
'sa.ādat' jhāñk un ke dil meñ ḳhud nafrat bharī hogī
ye duniyā jin ko nafrat kā jahāñ ma.alūm hotī hai
faza aisi ba-faiz-e-baghban malum hoti hai
bahaar-e-gulsitan misl-e-KHizan malum hoti hai
kuchh apnon ka karam hai kuchh nigah-e-asr-e-hazir hai
hayat ek hasraton ki dastan malum hoti hai
ajab tahqir si tafriq-o-be-zari si nafrat si
darun-e-qalb mir-e-karwan malum hoti hai
dilon mein masjidon mein mandiron mein dars-gahon mein
siyasat hi siyasat hukmran malum hoti hai
girani rishwaten ghaple ghaban ifsad goli bam
yahi aazadi-e-hindostan malum hoti hai
KHushamad is qadar bhi sathiyo achchhi nahin lagti
tumhaare munh mein auron ki zaban malum hoti hai
'saadat' jhank un ke dil mein KHud nafrat bhari hogi
ye duniya jin ko nafrat ka jahan malum hoti hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.