faza-e-gulshan-e-maqtal nashat-e-dida-o-dil hai
faza-e-gulshan-e-maqtal nashat-e-dida-o-dil hai
Pandit Tribhuvannath Zutshi Zar Dehlvi
MORE BYPandit Tribhuvannath Zutshi Zar Dehlvi
fazā-e-gulshan-e-maqtal nashāt-e-dīda-o-dil hai
ki jāñ-parvar bahār-e-sabza-e-shamshīr-e-qātil hai
bahār aa.ī chaman meñ naġhma-sanjī-e-‘anādil hai
pas-e-dīvār-e-zindān-e-junūñ shor-e-salāsil hai
nahīñ koī Thikāna rahravān-e-rāh-e-ulfat kā
biThā de jis jagah vāmāñdgī vo un kī manzil hai
hamārī be-zabānī hai zabān-e-hāl se goyā
nigāh-e-vāpsīñ to tarjumān-e-hasrat-e-dil hai
faza-e-gulshan-e-maqtal nashat-e-dida-o-dil hai
ki jaan-parwar bahaar-e-sabza-e-shamshir-e-qatil hai
bahaar aai chaman mein naghma-sanji-e-‘anadil hai
pas-e-diwar-e-zindan-e-junun shor-e-salasil hai
nahin koi Thikana rahrawan-e-rah-e-ulfat ka
biTha de jis jagah wamandgi wo un ki manzil hai
hamari be-zabani hai zaban-e-haal se goya
nigah-e-wapsin to tarjuman-e-hasrat-e-dil hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.