faza ka habs shagufon ko bas kya dega
fazā kā habs shagūfoñ ko baas kyā degā
badan-darīda kisī ko libās kyā degā
ye dil ki qahat-e-anā se ġharīb Thahrā hai
mirī zabāñ ko zar-e-iltimās kyā degā
jo de sakā na pahāḌoñ ko barf kī chādar
vo merī bāñjh zamīñ ko kapās kyā degā
ye shahr yuuñ bhī to dahshat bharā nagar hai yahāñ
diloñ kā shor havā ko hirās kyā degā
vo zaḳhm de ke mujhe hausla bhī detā hai
ab is se baḌh ke tabī.at-shanās kyā degā
jo apnī zaat se bāhar na aa sakā ab tak
vo pattharoñ ko matā-e-havās kyā degā
vo mere ashk bujhā.egā kis tarah 'mohsin'
samundaroñ ko vo sahrā kī pyaas kyā degā
faza ka habs shagufon ko bas kya dega
badan-darida kisi ko libas kya dega
ye dil ki qahat-e-ana se gharib Thahra hai
meri zaban ko zar-e-iltimas kya dega
jo de saka na pahaDon ko barf ki chadar
wo meri banjh zamin ko kapas kya dega
ye shahr yun bhi to dahshat bhara nagar hai yahan
dilon ka shor hawa ko hiras kya dega
wo zaKHm de ke mujhe hausla bhi deta hai
ab is se baDh ke tabiat-shanas kya dega
jo apni zat se bahar na aa saka ab tak
wo pattharon ko mata-e-hawas kya dega
wo mere ashk bujhaega kis tarah 'mohsin'
samundaron ko wo sahra ki pyas kya dega
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.