faza ki rangat nai nai hai
fazā kī rangat na.ī na.ī hai
mirī ye chāhat na.ī na.ī hai
zarā batānā patā ḳhudā kā
mirī ibādat na.ī na.ī hai
karūñ maiñ sajda yā haath joḌūñ
mirī aqīdat na.ī na.ī hai
lahū ye ḳhanjar kā boltā hai
abhī shahādat na.ī na.ī hai
kareñge ik din sañbhal sañbhal kar
abhī mohabbat na.ī na.ī hai
abhī to sūkhī nahīñ siyāhī
abhī ibārat na.ī na.ī hai
chalo kareñ 'sarv' yaad tujh ko
milī ye fursat na.ī na.ī hai
faza ki rangat nai nai hai
meri ye chahat nai nai hai
zara batana pata KHuda ka
meri ibaadat nai nai hai
karun main sajda ya hath joDun
meri aqidat nai nai hai
lahu ye KHanjar ka bolta hai
abhi shahadat nai nai hai
karenge ek din sanbhal sanbhal kar
abhi mohabbat nai nai hai
abhi to sukhi nahin siyahi
abhi ibarat nai nai hai
chalo karen 'sarw' yaad tujh ko
mili ye fursat nai nai hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.