faza malul thi maine faza se kuchh na kaha
fazā malūl thī maiñ ne fazā se kuchh na kahā
havā meñ dhuul thī maiñ ne havā se kuchh na kahā
yahī ḳhayāl ki barse to ḳhud baras jaa.e
so umr-bhar kisī kaalī ghaTā se kuchh na kahā
hazār ḳhvāb the āñkhoñ meñ lāla-zāroñ ke
milī saḌak pe to bād-e-sabā se kuchh na kahā
vo rāstoñ ko sajāte rahe unhoñ ne kabhī
gharoñ meñ nāchne vaalī balā se kuchh na kahā
vo lamha jaise ḳhudā ke baġhair biit gayā
use guzār ke maiñ ne ḳhudā se kuchh na kahā
shaboñ meñ tujh se rahī merī guftugū kyā kyā
dinoñ meñ chāñd tire naqsh-e-pā se kuchh na kahā
faza malul thi main ne faza se kuchh na kaha
hawa mein dhul thi main ne hawa se kuchh na kaha
yahi KHayal ki barse to KHud baras jae
so umr-bhar kisi kali ghaTa se kuchh na kaha
hazar KHwab the aankhon mein lala-zaron ke
mili saDak pe to baad-e-saba se kuchh na kaha
wo raston ko sajate rahe unhon ne kabhi
gharon mein nachne wali bala se kuchh na kaha
wo lamha jaise KHuda ke baghair bit gaya
use guzar ke main ne KHuda se kuchh na kaha
shabon mein tujh se rahi meri guftugu kya kya
dinon mein chand tere naqsh-e-pa se kuchh na kaha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.