faza mein kaisi udasi hai kya kaha jae
fazā meñ kaisī udāsī hai kyā kahā jaa.e
'ajīb shaam ye guzrī hai kyā kahā jaa.e
ka.ī gumān hameñ zindagī pe guzre haiñ
ye ajnabī hai ki apnī hai kyā kahā jaa.e
vo dhuup dushman-e-jāñ thī so thī ḳhamosh the ham
ye chāñdnī hameñ Dastī hai kyā kahā jaa.e
yahāñ bhī dil pe udāsī kā chhā rahā hai dhuāñ
ye rang o nuur kī bastī hai kyā kahā jaa.e
koī payām hamāre liye nahīñ na sahī
magar sadā to usī kī hai kyā kahā jaa.e
hamāre 'ahd ke uljhe hue savāloñ kā
javāb sirf ḳhamoshī hai kyā kahā jaa.e
zabāñ pe shukr o shikāyat ke sau fasāne haiñ
magar jo dil pe guzartī hai kyā kahā jaa.e
tamām shahr ko kyuuñ chup lagī hai kyā jāneñ
ghuTan diloñ meñ ye kaisī hai kyā kahā jaa.e
shanāḳht dost na dushman kī mo'tabar 'maḳhmūr'
har ek shakl hī dhuñdlī hai kyā kahā jaa.e
faza mein kaisi udasi hai kya kaha jae
'ajib sham ye guzri hai kya kaha jae
kai guman hamein zindagi pe guzre hain
ye ajnabi hai ki apni hai kya kaha jae
wo dhup dushman-e-jaan thi so thi KHamosh the hum
ye chandni hamein Dasti hai kya kaha jae
yahan bhi dil pe udasi ka chha raha hai dhuan
ye rang o nur ki basti hai kya kaha jae
koi payam hamare liye nahin na sahi
magar sada to usi ki hai kya kaha jae
hamare 'ahd ke uljhe hue sawalon ka
jawab sirf KHamoshi hai kya kaha jae
zaban pe shukr o shikayat ke sau fasane hain
magar jo dil pe guzarti hai kya kaha jae
tamam shahr ko kyun chup lagi hai kya jaanen
ghuTan dilon mein ye kaisi hai kya kaha jae
shanaKHt dost na dushman ki mo'tabar 'maKHmur'
har ek shakl hi dhundli hai kya kaha jae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.