fazaon se guzarta ja raha hun
fazāoñ se guzartā jā rahā huuñ
ḳhalāoñ meñ bikhartā jā rahā huuñ
maiñ registān meñ baiThā huuñ lekin
samundar meñ utartā jā rahā huuñ
zamāna lamha lamha jī rahā hai
maiñ lamha lamha martā jā rahā huuñ
vo jitne duur hote jā rahe haiñ
maiñ utnā hī sañvartā jā rahā huuñ
chalā huuñ apne se do haat karne
magar ḳhud se bhī Dartā jā rahā huuñ
maiñ nuqta ban ke ik markaz pe yaaro
na jaane kyuuñ Thahartā jā rahā huuñ
miTāne par bhī maiñ urdu kī mānind
sañvartā aur nikhartā jā rahā huuñ
maiñ kaalī jhiil meñ Duubā thā ḳhud hī
magar ḳhud hī ubhartā jā rahā huuñ
maiñ 'qaisar' apnī āñkhoñ se Tapak kar
kisī dil meñ utartā jā rahā huuñ
fazaon se guzarta ja raha hun
KHalaon mein bikharta ja raha hun
main registan mein baiTha hun lekin
samundar mein utarta ja raha hun
zamana lamha lamha ji raha hai
main lamha lamha marta ja raha hun
wo jitne dur hote ja rahe hain
main utna hi sanwarta ja raha hun
chala hun apne se do hat karne
magar KHud se bhi Darta ja raha hun
main nuqta ban ke ek markaz pe yaro
na jaane kyun Thaharta ja raha hun
miTane par bhi main urdu ki manind
sanwarta aur nikharta ja raha hun
main kali jhil mein Duba tha KHud hi
magar KHud hi ubharta ja raha hun
main 'qaisar' apni aankhon se Tapak kar
kisi dil mein utarta ja raha hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.