nakaami-e-dil kulsum kabhi taqdir ko apni roi nahin
nākāmī-e-dil 'kulsūm' kabhī taqdīr ko apnī roī nahīñ
qurbān maiñ apnī himmat ke sab so.e magar ye soī nahīñ
ai sub.h-e-qayāmat kyā kahnā is vāda-e-dīd ke maiñ qurbāñ
vo parde se ab nikle haiñ jab dekhne vaalā koī nahīñ
giryāñ hai abhī tak chashm-e-falak bulbul bhī barābar rotī hai
barbādī-e-gulshan ke ġham meñ shabnam hī akelī roī nahīñ
tū apne ko ḳhud pyārā hai yuuñ pyaar tujhe sansār se hai
varna kisī kā chāhne vaalā duniyā bhar meñ koī nahīñ
Dar hai ye mujhe ki ḳhūn-e-nāhaq rañg na laa.e mahshar meñ
ḳhuun meñ Duubī āstīñ apnī us ne abhī tak dhoī nahīñ
ai nāqa-e-lailā parda-nashīñ phir najd ke zarre raqs meñ haiñ
manzil-e-husn to sāmne hai kyā ishq kī manzil koī nahīñ
jo honā thā vo ho hī chukā ab kahne se kyā hāsil hai
ye vaqt-e-duā hai ai nāseh ye vaqt-e-nasīhat-goī nahīñ
ḳhūn-e-anādil dauḌ rahā hai lāla-o-gul kī rag rag meñ
phir bhī saare baaġh meñ ham-āhañg anādil koī nahīñ
vo husn kā manshā kyā samjhe vo rasm-e-mohabbat kyā jaane
daulat-e-sabr-o-sukūn-e-dil ishq meñ jis ne khoī nahīñ
mañjdhār se kashtī paar huī sāhil pe jab aa.ī Duub ga.ī
taqdīr to sab kī sāthī thī taqdīr kā sāthī koī nahīñ
nakaami-e-dil 'kulsum' kabhi taqdir ko apni roi nahin
qurban main apni himmat ke sab soe magar ye soi nahin
ai subh-e-qayamat kya kahna is wada-e-did ke main qurban
wo parde se ab nikle hain jab dekhne wala koi nahin
giryan hai abhi tak chashm-e-falak bulbul bhi barabar roti hai
barbaadi-e-gulshan ke gham mein shabnam hi akeli roi nahin
tu apne ko KHud pyara hai yun pyar tujhe sansar se hai
warna kisi ka chahne wala duniya bhar mein koi nahin
Dar hai ye mujhe ki KHun-e-nahaq rang na lae mahshar mein
KHun mein Dubi aastin apni us ne abhi tak dhoi nahin
ai naqa-e-laila parda-nashin phir najd ke zarre raqs mein hain
manzil-e-husn to samne hai kya ishq ki manzil koi nahin
jo hona tha wo ho hi chuka ab kahne se kya hasil hai
ye waqt-e-dua hai ai naseh ye waqt-e-nasihat-goi nahin
KHun-e-anadil dauD raha hai lala-o-gul ki rag rag mein
phir bhi sare bagh mein ham-ahang anadil koi nahin
wo husn ka mansha kya samjhe wo rasm-e-mohabbat kya jaane
daulat-e-sabr-o-sukun-e-dil ishq mein jis ne khoi nahin
manjdhaar se kashti par hui sahil pe jab aai Dub gai
taqdir to sab ki sathi thi taqdir ka sathi koi nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.