fida-e-dilbar-e-rangin-ada hun
fidā-e-dilbar-e-rañgīñ-adā huuñ
shahīd-e-shāhid-e-gul-gūñ-qabā huuñ
har ik mah-rū ke milne kā nahīñ zauq
suḳhan ke āshnā kā āshnā huuñ
kiyā huuñ tark nargis kā tamāshā
talab-gār-e-nigāh-e-bā-hayā huuñ
na kar shamshād kī tārīf mujh paas
ki maiñ us sarv-qad kā mubtalā huuñ
kiyā maiñ arz us ḳhurshīd-rū suuñ
tū shāh-e-husn maiñ terā gadā huuñ
sadā rakhtā huuñ shauq us ke suḳhan kā
hamesha tishna-e-āb-e-baqā huuñ
qadam par us ke rakhtā huuñ sadā sar
'valī' ham-mashrab-e-rañg-e-hinā huuñ
fida-e-dilbar-e-rangin-ada hun
shahid-e-shahid-e-gul-gun-qaba hun
har ek mah-ru ke milne ka nahin zauq
suKHan ke aashna ka aashna hun
kiya hun tark nargis ka tamasha
talab-gar-e-nigah-e-ba-haya hun
na kar shamshad ki tarif mujh pas
ki main us sarw-qad ka mubtala hun
kiya main arz us KHurshid-ru sun
tu shah-e-husn main tera gada hun
sada rakhta hun shauq us ke suKHan ka
hamesha tishna-e-ab-e-baqa hun
qadam par us ke rakhta hun sada sar
'wali' ham-mashrab-e-rang-e-hina hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.