fikr-e-anjam na aaghaz ka kuchh hosh raha
Interesting Fact
1904
fikr-e-anjām na āġhāz kā kuchh hosh rahā
chaar din tak to javānī kā ajab josh rahā
maiñ qafas meñ bhī kisī roz na ḳhāmosh rahā
kashmakash meñ bhī tabī.at kā vahī josh rahā
nashsha-e-ulfat-e-sāqī kā ajab josh rahā
haul-e-sahrā-e-qayāmat bhī farāmosh rahā
ġhair hoñ jur.a-e-kash-e-bazm-e-tamannā afsos
ḳhuun ke ghūñT maiñ piitā rahā ḳhāmosh rahā
hech aafat na-rasad gosha-e-tanhā.ī rā
dasht-e-ġhurbat meñ maiñ ye soñch ke rū-posh rahā
mausam-e-gul kī havā dārū-e-be-hoshī thī
sar uThāne kā bhī sabze ko na kuchh hosh rahā
nik.hat-e-gul kī tarah jaame se bāhar hūñgā
fasl-e-gul kā jo gulistāñ meñ yahī josh rahā
bahr-e-rahmat meñ bahut hogā talātum barpā
tujh ko ai ashk-e-nadāmat jo yahī josh rahā
apne sar se bhī kisī roz guzar jā.egā
āb-e-shamshīr ko qātil jo yahī josh rahā
sāya-e-dāman-e-qātil meñ jo niiñd aa.ī mujhe
phir to karvaT bhī badalne kā na kuchh hosh rahā
dhuum suntā rahā ab aate haiñ ab aate haiñ
hashr tak maiñ yūñhī khole hue āġhosh rahā
duur khiñchtī hī ga.ī manzil-e-maqsūd magar
rah-rav-e-ishq kī himmat kā vahī josh rahā
rahmat-e-haq rahī ham āsiyoñ par sāya-fagan
sar pe chhāyā huā ik abr-e-ḳhatā-posh rahā
uThte uThte thī vahī bazm kī mastāna ravish
chalte chalte bhī ḳhum-e-mai ko vahī josh rahā
phir ga.iiñ āñkheñ mirī kūcha-e-jānāñ kī taraf
shukr hai marte dam itnā to mujhe hosh rahā
fikr-e-anjam na aaghaz ka kuchh hosh raha
chaar din tak to jawani ka ajab josh raha
main qafas mein bhi kisi roz na KHamosh raha
kashmakash mein bhi tabiat ka wahi josh raha
nashsha-e-ulfat-e-saqi ka ajab josh raha
haul-e-sahra-e-qayamat bhi faramosh raha
ghair hon jura-e-kash-e-bazm-e-tamanna afsos
KHun ke ghunT main pita raha KHamosh raha
hech aafat na-rasad gosha-e-tanhai ra
dasht-e-ghurbat mein main ye sonch ke ru-posh raha
mausam-e-gul ki hawa daru-e-be-hoshi thi
sar uThane ka bhi sabze ko na kuchh hosh raha
nikhat-e-gul ki tarah jame se bahar hunga
fasl-e-gul ka jo gulistan mein yahi josh raha
bahr-e-rahmat mein bahut hoga talatum barpa
tujh ko ai ashk-e-nadamat jo yahi josh raha
apne sar se bhi kisi roz guzar jaega
aab-e-shamshir ko qatil jo yahi josh raha
saya-e-daman-e-qatil mein jo nind aai mujhe
phir to karwaT bhi badalne ka na kuchh hosh raha
dhum sunta raha ab aate hain ab aate hain
hashr tak main yunhi khole hue aaghosh raha
dur khinchti hi gai manzil-e-maqsud magar
rah-raw-e-ishq ki himmat ka wahi josh raha
rahmat-e-haq rahi hum aasiyon par saya-fagan
sar pe chhaya hua ek abr-e-KHata-posh raha
uThte uThte thi wahi bazm ki mastana rawish
chalte chalte bhi KHum-e-mai ko wahi josh raha
phir gain aankhen meri kucha-e-jaanan ki taraf
shukr hai marte dam itna to mujhe hosh raha
- Book : Kulliyat-e-Yagana (Pg. 115)
- Author : Meerza Yagana Changezi Lukhnawi
- Publication : Farib Book Depot (P) Ltd. (2005)
- Edition : 2005
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.