fikr-e-manzil ho gai un ka guzarna dekh kar
fikr-e-manzil ho ga.ī un kā guzarnā dekh kar
zinda-dil maiñ ho gayā auroñ kā marnā dekh kar
āsmāñ kī chhat bahut nīchī sar-e-naḳhvat ko hai
kibr se kah do ki duniyā meñ ubharnā dekh kar
ziist be-vaq'at huī hai mere shauq-e-zīst se
maut hairāñ hai mirā marne se Darnā dekh kar
fikr-e-manzil ho gai un ka guzarna dekh kar
zinda-dil main ho gaya auron ka marna dekh kar
aasman ki chhat bahut nichi sar-e-naKHwat ko hai
kibr se kah do ki duniya mein ubharna dekh kar
zist be-waq'at hui hai mere shauq-e-zist se
maut hairan hai mera marne se Darna dekh kar
- Book : ہنگامہ ہے کیوں برپا (Pg. 102)
- Author : اکبر الہ آبادی
- Publication : ریختہ بکس (2023)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.