fikr-e-nakaami-e-tadbir karun ya na karun
fikr-e-nakaami-e-tadbir karun ya na karun
Sultanul Haq Shaheedii Kaashmiri
MORE BYSultanul Haq Shaheedii Kaashmiri
fikr-e-nākāmī-e-tadbīr karūñ yā na karūñ
ham-nashīñ shikva-e-taqdīr karūñ yā na karūñ
dard kī āḳhirī manzil hai masarrat-āgīñ
talḳhī-e-dahr kī tafsīr karūñ yā na karūñ
rabt-e-bāham hī se hai un ke zamāna qaa.em
husn ko ishq se ta.abīr karūñ yā na karūñ
phir uThegā vahī tūfān-e-havādis ai dost
phir se duniyā ko maiñ ta.amīr karūñ yā na karūñ
phir se mashkūk hue merī mohabbat ke nuqūsh
phir na.e taur se tahrīr karūñ yā na karūñ
shāyad ik nusḳha-e-iksīr kī sūrat nikle
is ġham-e-dil kī maiñ tafsīr karūñ yā na karūñ
fikr-e-nakaami-e-tadbir karun ya na karun
ham-nashin shikwa-e-taqdir karun ya na karun
dard ki aaKHiri manzil hai masarrat-agin
talKHi-e-dahr ki tafsir karun ya na karun
rabt-e-baham hi se hai un ke zamana qaem
husn ko ishq se tabir karun ya na karun
phir uThega wahi tufan-e-hawadis ai dost
phir se duniya ko main tamir karun ya na karun
phir se mashkuk hue meri mohabbat ke nuqush
phir nae taur se tahrir karun ya na karun
shayad ek nusKHa-e-iksir ki surat nikle
is gham-e-dil ki main tafsir karun ya na karun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.