fikr ke shoalon mein chalti zindagi
fikr ke sho.aloñ meñ chaltī zindagī
tab nikhartī hai hamārī zindagī
ham ne dekhā hādsoñ kī bhiiḌ meñ
maut ke muñh se nikaltī zindagī
jab ye kartī hai tumhārā intizār
tab nahīñ kaaTe se kaTtī zindagī
god se hai gor tak bechainiyāñ
alamiya hai beTiyoñ kī zindagī
sīñchā jaa.e gar mashaqqat se use
phuul kī sūrat mahaktī zindagī
phuul patthar aag aur shabnam 'nisār'
ruup hai kitne badaltī zindagī
fikr ke shoalon mein chalti zindagi
tab nikharti hai hamari zindagi
hum ne dekha hadson ki bhiD mein
maut ke munh se nikalti zindagi
jab ye karti hai tumhaara intizar
tab nahin kaTe se kaTti zindagi
god se hai gor tak bechainiyan
alamiya hai beTiyon ki zindagi
sincha jae gar mashaqqat se use
phul ki surat mahakti zindagi
phul patthar aag aur shabnam 'nisar'
rup hai kitne badalti zindagi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.