fikr-o-taKHayyulat ke par zinda hain abhi
fikr-o-taḳhayyulāt ke par zinda haiñ abhī
būḌhe zarūr haiñ ye magar zinda haiñ abhī
saa.e meñ zindagī ko bitāne ke vāste
rāh-e-hayāt ke vo shajar zinda haiñ abhī
us ko lagā kī chāhne vaale nahīñ mere
lekin use milī ye ḳhabar zinda haiñ abhī
māyūs-o-nā-umīd na hoñge kabhī bhī ham
ummīd ke ye shams-o-qamar zinda haiñ abhī
ham ye samajh rahe haiñ ke vo mar chuke magar
apne hunar meñ ahl-e-hunar zinda haiñ abhī
apnī jagah hai tark-e-ta'alluq kī ḳhud-kushī
jo saath meñ kiye the safar zinda haiñ abhī
apne ġham-o-ḳhushī ko chhupā.eñ to kis tarah
'vājid' jahāñ meñ ahl-e-nazar zinda haiñ abhī
fikr-o-taKHayyulat ke par zinda hain abhi
buDhe zarur hain ye magar zinda hain abhi
sae mein zindagi ko bitane ke waste
rah-e-hayat ke wo shajar zinda hain abhi
us ko laga ki chahne wale nahin mere
lekin use mili ye KHabar zinda hain abhi
mayus-o-na-umid na honge kabhi bhi hum
ummid ke ye shams-o-qamar zinda hain abhi
hum ye samajh rahe hain ke wo mar chuke magar
apne hunar mein ahl-e-hunar zinda hain abhi
apni jagah hai tark-e-ta'alluq ki KHud-kushi
jo sath mein kiye the safar zinda hain abhi
apne gham-o-KHushi ko chhupaen to kis tarah
'wajid' jahan mein ahl-e-nazar zinda hain abhi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.