firaq-e-yar ne bechain mujhko raat bhar rakkha
firāq-e-yār ne bechain mujh ko raat bhar rakkhā
kabhī takiya idhar rakkhā kabhī takiya idhar rakkhā
shikast-e-dil kā baaqī ham ne ġhurbat meñ asar rakhā
likhā ahl-e-vatan ko ḳhat to ik gosha katar rakkhā
barābar aa.ine ke bhī na samjhe qadr vo dil kī
ise zer-e-qadam rakkhā use pesh-e-nazar rakkhā
miTā.e dīda-o-dil donoñ mere ashk-e-ḳhūnīñ ne
'ajab ye tifl abtar thā na ghar rakkhā na dar rakkhā
tumhāre sang-e-dar kā ek TukḌā bhī jo haath aayā
aziiz aisā kiyā mar kar use chhātī pe dhar rakkhā
jināñ meñ saath apne kyuuñ na le jā.ūñgā nāseh ko
sulūk aisā hī mere saath hai hazrat ne kar rakkhā
na kī kis ne sifārish merī vaqt-e-qatl qātil se
kamāñ ne haath joḌe teġh ne qadmoñ pe sar rakkhā
ġhazab barse vo mere aate hī mā'lūm hotā hai
jagah ḳhālī jo paa.ī yaar ko ġhairoñ ne bhar rakkhā
baḌā ehsāñ hai mere sar pe us kī laġhzish-e-pā kā
ki is ne be-tahāshā haath mere dosh par rakkhā
zamīñ meñ dāna-e-gandum sadaf meñ ham hue gauhar
hamāre ijz ne har ma.arka meñ ham ko dar rakkhā
tire har naqsh-e-pā ko rahguzar meñ sajda-gah samjhe
jahāñ tū ne qadam rakkhā vahāñ maiñ ne bhī sar rakkhā
amiir achchhā shagūn-e-mai kiyā saaqī kī furqat meñ
jo barsā abr-e-rahmat jā-e-mai shīshoñ meñ bhar rakkhā
firaq-e-yar ne bechain mujh ko raat bhar rakkha
kabhi takiya idhar rakkha kabhi takiya idhar rakkha
shikast-e-dil ka baqi hum ne ghurbat mein asar rakha
likha ahl-e-watan ko KHat to ek gosha katar rakkha
barabar aaine ke bhi na samjhe qadr wo dil ki
ise zer-e-qadam rakkha use pesh-e-nazar rakkha
miTae dida-o-dil donon mere ashk-e-KHunin ne
'ajab ye tifl abtar tha na ghar rakkha na dar rakkha
tumhaare sang-e-dar ka ek TukDa bhi jo hath aaya
aziz aisa kiya mar kar use chhati pe dhar rakkha
jinan mein sath apne kyun na le jaunga naseh ko
suluk aisa hi mere sath hai hazrat ne kar rakkha
na ki kis ne sifarish meri waqt-e-qatl qatil se
kaman ne hath joDe tegh ne qadmon pe sar rakkha
ghazab barse wo mere aate hi ma'lum hota hai
jagah KHali jo pai yar ko ghairon ne bhar rakkha
baDa ehsan hai mere sar pe us ki laghzish-e-pa ka
ki is ne be-tahasha hath mere dosh par rakkha
zamin mein dana-e-gandum sadaf mein hum hue gauhar
hamare ijz ne har marka mein hum ko dar rakkha
tere har naqsh-e-pa ko rahguzar mein sajda-gah samjhe
jahan tu ne qadam rakkha wahan main ne bhi sar rakkha
amir achchha shagun-e-mai kiya saqi ki furqat mein
jo barsa abr-e-rahmat ja-e-mai shishon mein bhar rakkha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.