firaq mein dam ulajh raha hai KHayal-e-gesu mein jaankani hai
firaq mein dam ulajh raha hai KHayal-e-gesu mein jaankani hai
Habeeb Moosavi
MORE BYHabeeb Moosavi
firāq meñ dam ulajh rahā hai ḳhayāl-e-gesū meñ jāñkanī hai
tanāb-e-jallād kī tarah se rag-e-gulū āj-kal tanī hai
nahīñ hai parvā-e-māl-o-daulat safā-e-bātin se dil ġhanī hai
gadā haiñ hājat-ravā-e-sultāñ ye kīmiyā-e-farotanī hai
jigar meñ haiñ dāġh-e-mahr-o-ulfat shigāf-e-pahlū hai jeb-e-mashriq
shab-e-lahad hai ki sub.h-e-mahshar ye kis qayāmat kī raushnī hai
fazā.el-e-ittihād-e-millat jahāñ meñ vaj.h-e-muḳhālifat haiñ
mu'āf hī rakhiye shaiḳh sāhab ye rahbarī hai ki rahzanī hai
ġharaz na rakkhe mai-e-jahāñ se to ham bhī qaa.il hoñ tere vā'iz
kamāl kyā jab umīd-e-fardā hī illat-e-pāk-dāmanī hai
hameñ na raas aayā dil lagānā ġhazab huā phir gayā zamāna
koī to kahtā hai qaid kar do koī ye kahtā hai kushtanī hai
raqīb ko paas gar biThāyā to mujh se hargiz na zabt hogā
miTā hī duuñ ek din ye jhagḌā bas ab to dil meñ yahī Thanī hai
koī kisī se na dil lagā.e na sar pe koh-e-alam uThā.e
nahīñ bharosa ḳhudā bachā.e ki 'ishq meñ jaan par banī hai
khapī hai dil meñ hañsī tumhārī firāq meñ kauñdtī hai bijlī
raheñ na kyuuñ ashk-e-surḳh jaarī jigar meñ almās kī kanī hai
kabhī to aa mere rashk-e-īsā huī hai muzmin tap-e-judā.ī
nahīñ shifā kī umiid baaqī numūd chehre se murdanī hai
huā ye lāġhar asiir terā ki sab ko hai naqsh-e-pā kā dhokā
gale meñ jo tauq thā pahnāyā vo ab use hisn-e-āhanī hai
na teġh-e-qātil kā kyuuñ ho shohrā kiyā hai jo rañg-e-jism aisā
diye jo Tāñke to hai ye dhokā badan kā malbūs sozanī hai
zamīn par girte girte ham ko sunā gayā kāsa-e-sifālīñ
huā jahāñ daur-e-umr-e-āḳhir ye sāz-e-hastī shikastnī hai
jigar meñ barsoñ khaTak rahegī phuñkeñge pahlū chamak rahegī
ḳhayāl-e-mizhgān-e-yār-e-jānī sinān-e-dil-doz kī anī hai
azal se rindoñ ko mai kī 'ādat hai aur vā'iz kī sarzanish kī
taḳhāluf-e-vaz.a se hai jhagḌā na dostī hai na dushmanī hai
'habīb' piirī meñ haiñ rañgīlī vo sabza rangoñ hī par haiñ marte
hue haiñ do din pata nahīñ hai kisī se gahrī kahīñ chhanī hai
firaq mein dam ulajh raha hai KHayal-e-gesu mein jaankani hai
tanab-e-jallad ki tarah se rag-e-gulu aaj-kal tani hai
nahin hai parwa-e-mal-o-daulat safa-e-baatin se dil ghani hai
gada hain hajat-rawa-e-sultan ye kimiya-e-farotani hai
jigar mein hain dagh-e-mahr-o-ulfat shigaf-e-pahlu hai jeb-e-mashriq
shab-e-lahad hai ki subh-e-mahshar ye kis qayamat ki raushni hai
fazael-e-ittihad-e-millat jahan mein wajh-e-muKHalifat hain
mu'af hi rakhiye shaiKH sahab ye rahbari hai ki rahzani hai
gharaz na rakkhe mai-e-jahan se to hum bhi qail hon tere wa'iz
kamal kya jab umid-e-farda hi illat-e-pak-damani hai
hamein na ras aaya dil lagana ghazab hua phir gaya zamana
koi to kahta hai qaid kar do koi ye kahta hai kushtani hai
raqib ko pas gar biThaya to mujh se hargiz na zabt hoga
miTa hi dun ek din ye jhagDa bas ab to dil mein yahi Thani hai
koi kisi se na dil lagae na sar pe koh-e-alam uThae
nahin bharosa KHuda bachae ki 'ishq mein jaan par bani hai
khapi hai dil mein hansi tumhaari firaq mein kaundti hai bijli
rahen na kyun ashk-e-surKH jari jigar mein almas ki kani hai
kabhi to aa mere rashk-e-isa hui hai muzmin tap-e-judai
nahin shifa ki umid baqi numud chehre se murdani hai
hua ye laghar asir tera ki sab ko hai naqsh-e-pa ka dhoka
gale mein jo tauq tha pahnaya wo ab use hisn-e-ahani hai
na tegh-e-qatil ka kyun ho shohra kiya hai jo rang-e-jism aisa
diye jo Tanke to hai ye dhoka badan ka malbus sozani hai
zamin par girte girte hum ko suna gaya kasa-e-sifalin
hua jahan daur-e-umr-e-aKHir ye saz-e-hasti shikastni hai
jigar mein barson khaTak rahegi phunkenge pahlu chamak rahegi
KHayal-e-mizhgan-e-yar-e-jaani sinan-e-dil-doz ki ani hai
azal se rindon ko mai ki 'adat hai aur wa'iz ki sarzanish ki
taKHaluf-e-waza se hai jhagDa na dosti hai na dushmani hai
'habib' piri mein hain rangili wo sabza rangon hi par hain marte
hue hain do din pata nahin hai kisi se gahri kahin chhani hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.