firqa-kashi ka koi bhi matlab dikhaiye
firqa-kashī kā koī bhī matlab dikhā.iye
ġhārat-garoñ kā ek hī maz.hab dikhā.iye
milī haqīqatoñ pe hai pardā paḌā huā
fikr-o-nazar kā aap hī kaukab dikhā.iye
qadreñ ḳhulūs kī haiñ parāganda kam abhī
rutbe kī dhoñs dījiye mansab dikhā.iye
rah jaa.eñ daañt piis ke pīr-o-javāñ tamām
itnā na ḳhud ko ġhair-mohazzab dikhā.iye
tajdīd kiije ahl-e-tazabzub yaqīn kī
kahtā hai vaqt ab koī kartab dikhā.iye
zehnī maraz pe talḳh davā kyoñ hakīm jī
shīrīñ hai koī nusḳha mujarrab dikhā.iye
jiddat-tarāziyoñ meñ nazar aa.e ġham kā rang
itne mavād kar ke murakkab dikhā.iye
āshiq-mizāj logoñ meñ kuchh man-chale bhī haiñ
āñkheñ dikhā ke sab ko na yuuñ lab dikhā.iye
putle ḳhatā ke vaise to haiñ mustanad sharīf
behtar yahī hai husn na be-Dhab dikhā.iye
muñh pherte haiñ dekh ke muñh 'sarfarāz' vo
kis dil se dil ke daaġh unheñ ab dikhā.iye
firqa-kashi ka koi bhi matlab dikhaiye
ghaarat-garon ka ek hi mazhab dikhaiye
mili haqiqaton pe hai parda paDa hua
fikr-o-nazar ka aap hi kaukab dikhaiye
qadren KHulus ki hain paraganda kam abhi
rutbe ki dhons dijiye mansab dikhaiye
rah jaen dant pis ke pir-o-jawan tamam
itna na KHud ko ghair-mohazzab dikhaiye
tajdid kije ahl-e-tazabzub yaqin ki
kahta hai waqt ab koi kartab dikhaiye
zehni maraz pe talKH dawa kyon hakim ji
shirin hai koi nusKHa mujarrab dikhaiye
jiddat-taraaziyon mein nazar aae gham ka rang
itne mawad kar ke murakkab dikhaiye
aashiq-mizaj logon mein kuchh man-chale bhi hain
aankhen dikha ke sab ko na yun lab dikhaiye
putle KHata ke waise to hain mustanad sharif
behtar yahi hai husn na be-Dhab dikhaiye
munh pherte hain dekh ke munh 'sarfaraaz' wo
kis dil se dil ke dagh unhen ab dikhaiye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.