fitna-gar shoKHi-e-haya kab tak
fitna-gar shoḳhī-e-hayā kab tak
dekhnā aur na dekhnā kab tak
but-kada kuchh dar-e-qubūl nahīñ
yās-e-nākāmī-e-duā kab tak
dard aur dard bhī judā.ī kā
aise bīmār kī duā kab tak
ek maiñ kyā adū bhī marte haiñ
nigah-e-lutf-āshnā kab tak
dil meñ josh-e-hadīs-e-kufr 'zahīr'
lab pe shor-e-ḳhudā-ḳhudā kab tak
fitna-gar shoKHi-e-haya kab tak
dekhna aur na dekhna kab tak
but-kada kuchh dar-e-qubul nahin
yas-e-nakaami-e-dua kab tak
dard aur dard bhi judai ka
aise bimar ki dua kab tak
ek main kya adu bhi marte hain
nigah-e-lutf-ashna kab tak
dil mein josh-e-hadis-e-kufr 'zahir'
lab pe shor-e-KHuda-KHuda kab tak
- Book : Intekhab-e-Sukhan(Jild-2) (Pg. 198)
- Author : Hasrat Mohani
- Publication : uttar pradesh urdu academy (1983)
- Edition : 1983
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.