fitna uTha to razm-gah-e-KHak se uTha
fitna uThā to razm-gah-e-ḳhāk se uThā
sūraj kisī ke pairhan-e-chāk se uThā
ye dil uThā rahā hai baḌe hausle ke saath
vo baar jo zamīñ se na aflāk se uThā
sab mojazoñ ke baab meñ ye mojaza bhī ho
jo log mar ga.e haiñ unheñ ḳhaak se uThā
sūraj kī zau charāġh-e-shikasta kī lau se ho
qulzum kī mauj dīda-e-namnāk se uThā
pūchhā jo us ne ahd-e-jarāhat kā mājrā
dariyā lahū kā har rag-e-poshāk se uThā
fitna uTha to razm-gah-e-KHak se uTha
suraj kisi ke pairhan-e-chaak se uTha
ye dil uTha raha hai baDe hausle ke sath
wo bar jo zamin se na aflak se uTha
sab mojazon ke bab mein ye mojaza bhi ho
jo log mar gae hain unhen KHak se uTha
suraj ki zau charagh-e-shikasta ki lau se ho
qulzum ki mauj dida-e-namnak se uTha
puchha jo us ne ahd-e-jarahat ka majra
dariya lahu ka har rag-e-poshak se uTha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.