fitrat-e-dil ki mehrbani hai
fitrat-e-dil kī mehrbānī hai
maiñ huuñ yā ġham kī tarjumānī hai
ġham meñ bhī dil ko shādmānī hai
un kī shafqat hai mehrbānī hai
har ḳhushī jin pe maiñ ne qurbāñ kī
kyoñ unheñ shauq-e-jāñ-sitānī hai
jo bhī hai dāstān-e-ahl-e-vafā
dard-o-ālām kī kahānī hai
ham kahāñ qābil-e-ġham-e-dil the
ik sitamgar kī mehrbānī hai
dil kā ronā hai aur kuchh bhī nahīñ
haa.e kyā chiiz ye javānī hai
soz ġham dard rañj hijr malāl
dil pe kis kis kī mehrbānī hai
kis qadar hai ‘ajīb sūrat-e-hāl
ġham hai dil ko na shādmānī hai
ḳhāmushī meñ hai lutf-e-goyā.ī
ye bhī ik shān-e-be-zabānī hai
ek mauhūm sī tamannā kī
dil kī duniyā pe hukmrānī hai
mujh se milte ho be-niyāzāna
ye bhī andāz-e-dil-sitānī hai
daaġh dil kā kahīñ na miT jaa.e
ye tumhārī hī ik nishānī hai
ai mohabbat ye kyā kiyā tū ne
bad-gumānī hī bad-gumānī hai
zindagī bhar fareb khaa.e haiñ
dostoñ kī ye mehrbānī hai
ham sar-e-rāh luT ga.e yaksar
rahbaroñ kī ye mehrbānī hai
ai 'kañval' intihā-e-shauq na pūchh
rāt-din shaġhl-e-naġhma-ḳhvānī hai
fitrat-e-dil ki mehrbani hai
main hun ya gham ki tarjumani hai
gham mein bhi dil ko shadmani hai
un ki shafqat hai mehrbani hai
har KHushi jin pe main ne qurban ki
kyon unhen shauq-e-jaan-sitani hai
jo bhi hai dastan-e-ahl-e-wafa
dard-o-alam ki kahani hai
hum kahan qabil-e-gham-e-dil the
ek sitamgar ki mehrbani hai
dil ka rona hai aur kuchh bhi nahin
hae kya chiz ye jawani hai
soz gham dard ranj hijr malal
dil pe kis kis ki mehrbani hai
kis qadar hai ‘ajib surat-e-haal
gham hai dil ko na shadmani hai
KHamushi mein hai lutf-e-goyai
ye bhi ek shan-e-be-zabani hai
ek mauhum si tamanna ki
dil ki duniya pe hukmrani hai
mujh se milte ho be-niyazana
ye bhi andaz-e-dil-sitani hai
dagh dil ka kahin na miT jae
ye tumhaari hi ek nishani hai
ai mohabbat ye kya kiya tu ne
bad-gumani hi bad-gumani hai
zindagi bhar fareb khae hain
doston ki ye mehrbani hai
hum sar-e-rah luT gae yaksar
rahbaron ki ye mehrbani hai
ai 'kanwal' intiha-e-shauq na puchh
raat-din shaghl-e-naghma-KHwani hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.