furqat ki shab faza pe udasi muhit hai
furqat kī shab fazā pe udāsī muhīt hai
gulzār par havā pe udāsī muhīt hai
maġhmūm māh-o-gul haiñ pareshāñ hai chāñdnī
fitrat kī har adā pe udāsī muhīt hai
taare chamak rahe haiñ par apne ḳhayāl meñ
tāroñ kī kul ziyā pe udāsī muhīt hai
aa jaao ab ḳhudā ke liye bahr-e-ittisāl
māmūra-e-vafā pe udāsī muhīt hai
'az.har' ko aaj dekh to lo dosto zarā
dil se sivā qabā pe udāsī muhīt hai
furqat ki shab faza pe udasi muhit hai
gulzar par hawa pe udasi muhit hai
maghmum mah-o-gul hain pareshan hai chandni
fitrat ki har ada pe udasi muhit hai
tare chamak rahe hain par apne KHayal mein
taron ki kul ziya pe udasi muhit hai
aa jao ab KHuda ke liye bahr-e-ittisal
mamura-e-wafa pe udasi muhit hai
'azhar' ko aaj dekh to lo dosto zara
dil se siwa qaba pe udasi muhit hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.