furqat ne is tarah bhi hai mara kabhi kabhi
furqat ne is tarah bhī hai maarā kabhī kabhī
insān ban gayā hai chhuārā kabhī kabhī
ishva karishma nāz-o-adā sab nikal paḌe
kholā shabāb ne jo piTārā kabhī kabhī
qissa batā rahā hai ye lailā-o-qais kā
āshiq bhī rah gayā hai kuñvāra kabhī kabhī
sin Dhal gayā nigāh kā ḳhanjar huā hai kund
ab vo chalāyā karte haiñ aarā kabhī kabhī
tūfāñ himāqatoñ kā hai allāh re ḳhirad
tinke kā Dūbte ko sahārā kabhī kabhī
ulfat ke rāste meñ ḳhirad saath saath thī
phir kyoñ baje haiñ aql pe bārah kabhī kabhī
bīmār-e-ishq hotā thā maiñ phir bachā liyā
lutf-o-karam kā de ke sahārā kabhī kabhī
furqat ne is tarah bhi hai mara kabhi kabhi
insan ban gaya hai chhuara kabhi kabhi
ishwa karishma naz-o-ada sab nikal paDe
khola shabab ne jo piTara kabhi kabhi
qissa bata raha hai ye laila-o-qais ka
aashiq bhi rah gaya hai kunwara kabhi kabhi
sin Dhal gaya nigah ka KHanjar hua hai kund
ab wo chalaya karte hain aara kabhi kabhi
tufan himaqaton ka hai allah re KHirad
tinke ka Dubte ko sahaara kabhi kabhi
ulfat ke raste mein KHirad sath sath thi
phir kyon baje hain aql pe barah kabhi kabhi
bimar-e-ishq hota tha main phir bacha liya
lutf-o-karam ka de ke sahaara kabhi kabhi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.