fursat ho to sun lije bita hua afsana
fursat ho to sun liije biitā huā afsāna
kyuuñ hosh gañvā baiThā ye aap kā dīvāna
tum hī to tamannā ho har shaiḳh-o-brahman kī
sajda tumheñ karte haiñ kā'ba ho ki but-ḳhāna
tūfān mohabbat kā ḳhāmosh thā muddat se
kyuuñ aaj chhalak uThThā ye sabr kā paimāna
ham ātish-e-ulfat meñ is taur se jalte haiñ
ḳhud sham' haiñ mahfil meñ aur aap hī parvāna
jab mast nigāhoñ se saaqī ne zarā dekhā
mad.hosh nazar aayā maiḳhāne kā mai-ḳhāna
is dil kī ḳharābī se 'ājiz haiñ magar phir bhī
rakhte haiñ 'azīz apnā TuuTā huā paimāna
ho 'ahd-e-vafā un kā yā vā'da-e-fardā ho
aatā hai 'shamīm' ham ko bātoñ meñ bahal jaanā
fursat ho to sun lije bita hua afsana
kyun hosh ganwa baiTha ye aap ka diwana
tum hi to tamanna ho har shaiKH-o-brahman ki
sajda tumhein karte hain ka'ba ho ki but-KHana
tufan mohabbat ka KHamosh tha muddat se
kyun aaj chhalak uThTha ye sabr ka paimana
hum aatish-e-ulfat mein is taur se jalte hain
KHud sham' hain mahfil mein aur aap hi parwana
jab mast nigahon se saqi ne zara dekha
madhosh nazar aaya maiKHane ka mai-KHana
is dil ki KHarabi se 'ajiz hain magar phir bhi
rakhte hain 'aziz apna TuTa hua paimana
ho 'ahd-e-wafa un ka ya wa'da-e-farda ho
aata hai 'shamim' hum ko baaton mein bahal jaana
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.