fusun-saz tilism-e-sham tumhaare nam
fusūn-sāz tilism-e-shām tumhāre naam
vufūr-e-shauq ḳhumār-e-jām tumhāre naam
zamīn-e-dil jo huī tamām tumhāre naam
ye harf lafz navā kalām tumhāre naam
haiñ jitne rang tamām rang tumhāre haiñ
rahe sadā ye dhanak-nizām tumhāre naam
bahut se naam haiñ husn ke magar asl meñ
azal se husn ke saare naam tumhāre naam
balāoñ kī to bas ibtidā haiñ qayāmateñ
balāoñ kā magar iḳhtitām tumhāre naam
fusun-saz tilism-e-sham tumhaare nam
wufur-e-shauq KHumar-e-jam tumhaare nam
zamin-e-dil jo hui tamam tumhaare nam
ye harf lafz nawa kalam tumhaare nam
hain jitne rang tamam rang tumhaare hain
rahe sada ye dhanak-nizam tumhaare nam
bahut se nam hain husn ke magar asl mein
azal se husn ke sare nam tumhaare nam
balaon ki to bas ibtida hain qayamaten
balaon ka magar iKHtitam tumhaare nam
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.