fuzul naz uThane se baat bigDi hai
fuzūl naaz uThāne se baat bigḌī hai
kisī ko dil meñ basāne se baat bigḌī hai
thā vājibī sā ta'alluq to baat achchhī thī
ta'alluqāt baḌhāne se baat bigḌī hai
ham iḳhtilāf ko aapas meñ tai na kar paa.e
kisī ko biich bulāne se baat bigḌī hai
mohabbatoñ meñ takalluf bhī hai sam-e-qātil
qadam sañbhal ke uThāne se baat bigḌī hai
tumhāre saath bigaḌne pe kuchh malāl nahīñ
hamārī ek zamāne se baat bigḌī hai
fazā-e-vahm dar aa.ī ta'alluqāt ke biich
ghaḌī ghaḌī ke fasāne se baat bigḌī hai
ham apnī zaat kī tardīd kar nahīñ paa.e
anā ke zo'm meñ aane se baat bigḌī hai
tire baġhair guzāra nahīñ kisī sūrat
use ye baat batāne se baat bigḌī hai
fuzul naz uThane se baat bigDi hai
kisi ko dil mein basane se baat bigDi hai
tha wajibi sa ta'alluq to baat achchhi thi
ta'alluqat baDhane se baat bigDi hai
hum iKHtilaf ko aapas mein tai na kar pae
kisi ko bich bulane se baat bigDi hai
mohabbaton mein takalluf bhi hai sam-e-qatil
qadam sanbhal ke uThane se baat bigDi hai
tumhaare sath bigaDne pe kuchh malal nahin
hamari ek zamane se baat bigDi hai
faza-e-wahm dar aai ta'alluqat ke bich
ghaDi ghaDi ke fasane se baat bigDi hai
hum apni zat ki tardid kar nahin pae
ana ke zo'm mein aane se baat bigDi hai
tere baghair guzara nahin kisi surat
use ye baat batane se baat bigDi hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.