fuzul shai hun mera ehtiram mat karna
fuzūl shai huuñ mirā ehtirām mat karnā
faqat duā mujhe denā salām mat karnā
kahīñ ruke to na phir tum ko rāsta degī
ye zindagī bhī safar hai qayām mat karnā
vo āshnā nahīñ ḳhvāboñ kī ma.anaviyyat kā
hamāre ḳhvāb abhī us ke naam mat karnā
zabān muñh meñ hai tār-e-gunah kī sūrat
tumhārā hukm bajā hai kalām mat karnā
mirā vajūd ki hai dāna-e-qanā.at sā
maiñ ik faqīr parinda huuñ daam mat karnā
ye baat sach hai yahāñ guftugū avaam se hai
magar adab ko guzargāh-e-ām mat karnā
'fazā' charāġh-o-shafaq donoñ rahzanoñ kī matā.a
jo ḳhair chāho to raste meñ shaam mat karnā
fuzul shai hun mera ehtiram mat karna
faqat dua mujhe dena salam mat karna
kahin ruke to na phir tum ko rasta degi
ye zindagi bhi safar hai qayam mat karna
wo aashna nahin KHwabon ki manawiyyat ka
hamare KHwab abhi us ke nam mat karna
zaban munh mein hai tar-e-gunah ki surat
tumhaara hukm baja hai kalam mat karna
mera wajud ki hai dana-e-qanaat sa
main ek faqir parinda hun dam mat karna
ye baat sach hai yahan guftugu awam se hai
magar adab ko guzargah-e-am mat karna
'faza' charagh-o-shafaq donon rahzanon ki mataa
jo KHair chaho to raste mein sham mat karna
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.