fuzul waqt samajh ke guzar kar mujhko
fuzūl vaqt samajh ke guzār kar mujh ko
vo jā rahā hai kahīñ duur maar kar mujh ko
talāsh mujh ko hai us chāhatoñ kī devī kī
jo chhup ga.ī hai hamesha pukār kar mujh ko
tamām umr tire intizār meñ hamdam
ḳhizāñ-rasīda rahā huuñ bahār kar mujh ko
tirā ḳhulūs to chehre badaltā rahtā hai
ki ek pal ko hī apnā shumār kar mujh ko
'nadīm' us kā purānā libās huuñ shāyad
vo lag rahā hai bahut ḳhush utaar kar mujh ko
fuzul waqt samajh ke guzar kar mujh ko
wo ja raha hai kahin dur mar kar mujh ko
talash mujh ko hai us chahaton ki dewi ki
jo chhup gai hai hamesha pukar kar mujh ko
tamam umr tere intizar mein hamdam
KHizan-rasida raha hun bahaar kar mujh ko
tera KHulus to chehre badalta rahta hai
ki ek pal ko hi apna shumar kar mujh ko
'nadim' us ka purana libas hun shayad
wo lag raha hai bahut KHush utar kar mujh ko
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.