ghafil hun teri yaad se aisa to nahin hai
ghafil hun teri yaad se aisa to nahin hai
Pandit Vidya Rattan Asi
MORE BYPandit Vidya Rattan Asi
ġhāfil huuñ tirī yaad se aisā to nahīñ hai
har-vaqt mire dil meñ tirī yaad makīñ hai
duniyā-e-mohabbat baḌī dilkash hai hasīñ hai
har ek ko raas aa.e zarūrī to nahīñ hai
maanā ki zamāne kā har ik naqsh hasīñ hai
is par bhī zamāne meñ koī tujh sā nahīñ hai
ik arz-e-tamannā ke sivā ham ne kiyā kyā
kis baat pe vo sho.ala-badan chīñ-ba-jabīñ hai
kyā ḳhaak ho mere dil-e-betāb kā darmāñ
jab tujh pe tirī chashm-e-tavajjoh hī nahīñ hai
dil meñ hai magar jazba-e-iḳhlās-o-mohabbat
vo ḳhud hī khiñche ā.eñge ye merā yaqīñ hai
kyā kahiye mohabbat meñ ajab haal hai apnā
nazreñ haiñ kahīñ aur to dil aur kahīñ hai
rah rah ke khaTaktā hai jo har saañs meñ paiham
siine meñ koī ḳhaar hai yā qalb-e-hazīñ hai
iqrār-e-vafā kar bhī chukīñ terī nigāheñ
afsos tire lab pe magar phir bhī nahīñ hai
is but kā koī ahd bhī iifā nahīñ hotā
kyā is kā yaqīñ jis kā na īmāñ hai na diiñ hai
kyā turfa-qayāmat hai mirī vaj.h-e-tabāhī
vo pūchhte haiñ aur mujhe yaad nahīñ hai
sharminda-e-ehsāñ maiñ nahīñ rāh-numā kā
'āsī' mirā rahbar to mirā azm-o-yaqīñ hai
ghafil hun teri yaad se aisa to nahin hai
har-waqt mere dil mein teri yaad makin hai
duniya-e-mohabbat baDi dilkash hai hasin hai
har ek ko ras aae zaruri to nahin hai
mana ki zamane ka har ek naqsh hasin hai
is par bhi zamane mein koi tujh sa nahin hai
ek arz-e-tamanna ke siwa hum ne kiya kya
kis baat pe wo shoala-badan chin-ba-jabin hai
kya KHak ho mere dil-e-betab ka darman
jab tujh pe teri chashm-e-tawajjoh hi nahin hai
dil mein hai magar jazba-e-iKHlas-o-mohabbat
wo KHud hi khinche aaenge ye mera yaqin hai
kya kahiye mohabbat mein ajab haal hai apna
nazren hain kahin aur to dil aur kahin hai
rah rah ke khaTakta hai jo har sans mein paiham
sine mein koi KHar hai ya qalb-e-hazin hai
iqrar-e-wafa kar bhi chukin teri nigahen
afsos tere lab pe magar phir bhi nahin hai
is but ka koi ahd bhi ifa nahin hota
kya is ka yaqin jis ka na iman hai na din hai
kya turfa-qayamat hai meri wajh-e-tabahi
wo puchhte hain aur mujhe yaad nahin hai
sharminda-e-ehsan main nahin rah-numa ka
'asi' mera rahbar to mera azm-o-yaqin hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.