ganw ganw KHamoshi sard sab alao hain
gaañv gaañv ḳhāmoshī sard sab alaao haiñ
rah-rav-e-rah-e-hastī kitne ab paḌāv haiñ
raat kī adālat meñ jaane faisla kyā ho
phuul phuul chehroñ pe nāḳhunoñ ke ghaao haiñ
apne lāDloñ se bhī jhuuT bolte rahnā
zindagī kī rāhoñ meñ har qadam pe daao haiñ
raushnī ke saudāgar har galī meñ aa pahuñche
zindagī kī kirnoñ ke āsmāñ pe bhaao haiñ
chāhatoñ ke sab panchhī uḌ ga.e parā.ī or
nafratoñ ke gaañv meñ jism-jism ghaao haiñ
ganw ganw KHamoshi sard sab alao hain
rah-raw-e-rah-e-hasti kitne ab paDaw hain
raat ki adalat mein jaane faisla kya ho
phul phul chehron pe naKHunon ke ghao hain
apne laDlon se bhi jhuT bolte rahna
zindagi ki rahon mein har qadam pe dao hain
raushni ke saudagar har gali mein aa pahunche
zindagi ki kirnon ke aasman pe bhao hain
chahaton ke sab panchhi uD gae parai or
nafraton ke ganw mein jism-jism ghao hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.