ganw mein jhonpDi salamat hai
gaañv meñ jhoñpḌī salāmat hai
saltanat hai mirī riyāsat hai
koī mīThā sā dard hai duniyā
koī dilchasp sī sa.ūbat hai
maiñ ne ḳhāmoshiyāñ sunī haiñ tirī
mujh se mat pūchh kyā samā.at hai
ye huā tajraba dam-e-āḳhir
zindagī kitnī be-muravvat hai
vasl kyā hai ye tum batāo mujhe
hijr to ishq kī ibādat hai
dukh kisī ek kā nahīñ hotā
ye mire gaañv kī rivāyat hai
jhūTh kā baḌh gayā chalan itnā
ā.inoñ par bhī aaj tohmat hai
ganw mein jhonpDi salamat hai
saltanat hai meri riyasat hai
koi miTha sa dard hai duniya
koi dilchasp si saubat hai
main ne KHamoshiyan suni hain teri
mujh se mat puchh kya samaat hai
ye hua tajraba dam-e-aKHir
zindagi kitni be-murawwat hai
wasl kya hai ye tum batao mujhe
hijr to ishq ki ibaadat hai
dukh kisi ek ka nahin hota
ye mere ganw ki riwayat hai
jhuTh ka baDh gaya chalan itna
aainon par bhi aaj tohmat hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.