ganw mein jitne din guzare the
gaañv meñ jitne din guzāre the
phuul the ḳhvāb the sitāre the
sub.h ke dopahar ke shāmoñ ke
saare mausam bahut hī pyāre the
har galī meñ charāġh jalte the
har qadam par na.e ishāre the
kuchh tamanna kī sabz jhīleñ thiiñ
kuchh mohabbat ke isti.āre the
ham usī rāste pe chalte rahe
ḳhvāb jis rāste pe haare the
jo tire saath sair meñ guzre
vahī do chaar din hamāre the
ganw mein jitne din guzare the
phul the KHwab the sitare the
subh ke dopahar ke shamon ke
sare mausam bahut hi pyare the
har gali mein charagh jalte the
har qadam par nae ishaare the
kuchh tamanna ki sabz jhilen thin
kuchh mohabbat ke istiare the
hum usi raste pe chalte rahe
KHwab jis raste pe haare the
jo tere sath sair mein guzre
wahi do chaar din hamare the
- Book : رنگ سا اڑتا ہے (Pg. 47)
- Author : اشفاق عامر
- Publication : عکاس پبلی کیشنز،اسلام آباد
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.