gate hue peDon ki KHunuk chhanw se aage nikal aae
gaate hue peḌoñ kī ḳhunuk chhāñv se aage nikal aa.e
ham dhuup meñ jalne ko tire gaañv se aage nikal aa.e
aisā bhī to mumkin hai mile be-talab ik muzhda-e-manzil
ham apnī du'āoñ se tamannāoñ se aage nikal aa.e
kahte haiñ ki jismoñ ko ik rūh-e-muqaddas kī du'ā hai
vo jism ki jo apne thake paañv se aage nikal aa.e
thoḌā sā bhī jin logoñ ko irfān-e-mazāhib thā vo bach kar
ka.aboñ se shivāloñ se kalīsāoñ se aage nikal aa.e
the ham bhī gunahgār par ik zāhid makkār kī zid
bāzār meñ biktī huī salmāoñ se aage nikal aa.e
shahroñ ke makīnoñ se milī jab hameñ vahshat kī zamānat
ham sī ke garebānoñ ko sahrāoñ se aage nikal aa.e
bantī rahī ik duniyā 'qatīl' apnī ḳharīdār magar ham
yūsuf na bane aur zuleḳhāoñ se aage nikal aa.e
gate hue peDon ki KHunuk chhanw se aage nikal aae
hum dhup mein jalne ko tere ganw se aage nikal aae
aisa bhi to mumkin hai mile be-talab ek muzhda-e-manzil
hum apni du'aon se tamannaon se aage nikal aae
kahte hain ki jismon ko ek ruh-e-muqaddas ki du'a hai
wo jism ki jo apne thake panw se aage nikal aae
thoDa sa bhi jin logon ko irfan-e-mazahib tha wo bach kar
kabon se shiwalon se kalisaon se aage nikal aae
the hum bhi gunahgar par ek zahid makkar ki zid
bazar mein bikti hui salmaon se aage nikal aae
shahron ke makinon se mili jab hamein wahshat ki zamanat
hum si ke garebanon ko sahraon se aage nikal aae
banti rahi ek duniya 'qatil' apni KHaridar magar hum
yusuf na bane aur zuleKHaon se aage nikal aae
- Book : Kalam Qateel Shifai (Pg. 145)
- Author : Qateel Shifai
- Publication : Farid Book Depot Pvt. Ltd (2011)
- Edition : 2011
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.