Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

gatha paDh kar aatish dhonki ganga se ashnan

Ahmad Jahangir

gatha paDh kar aatish dhonki ganga se ashnan

Ahmad Jahangir

MORE BYAhmad Jahangir

    gāthā paḌh kar ātish dhoñkī gangā se ashnān

    maiñ ne har yug nazr guzārī har pīḌhī meñ daan

    dhyān lagā kar āñkheñ mūñdīñ baiThā ghuTne Tek

    mīThā lafz bhajan ban utrā sachchā she'r gunān

    maañ dhartī ko pesh-suḳhan ke rang-birange phuul

    bhaag bharī ko bheñT sunahre misre lobān

    saaya sachchal shaah ajrak raushan miir charāġh

    amrohe se uTh kar aa.e ham bāġh-e-multān

    sayyāre par zardī utrī dariyā miTTī ḳhushk

    hāthī par haudaj kasvāo naaqe par pālān

    ai dhartī ke tyāgī uTh kar ghor ḳhalā meñ baiTh

    aglī gaaḌī ghanTī tak hai aur rahmān

    farsh lapeTe taare jhāḌe narsañge phūñk

    pālan-hārā daatā hai kar jo chāhe Thaan

    manzar āb-o-tāb sameTe shāyad hai maujūd

    lams haqīqat 'aks mujassam āvāzoñ par kaan

    gatha paDh kar aatish dhonki ganga se ashnan

    main ne har yug nazr guzari har piDhi mein dan

    dhyan laga kar aankhen mundin baiTha ghuTne Tek

    miTha lafz bhajan ban utra sachcha she'r gunan

    man dharti ko pesh-suKHan ke rang-birange phul

    bhag bhari ko bhenT sunahre misre ka loban

    saya sachchal shah ki ajrak raushan mir charagh

    amrohe se uTh kar aae hum bagh-e-multan

    sayyare par zardi utri dariya miTTi KHushk

    hathi par haudaj kaswao naqe par palan

    ai dharti ke tyagi uTh kar ghor KHala mein baiTh

    agli gaDi ki ghanTi tak tu hai aur rahman

    farsh lapeTe tare jhaDe narsange ki phunk

    palan-haara tu data hai kar jo chahe Than

    manzar aab-o-tab sameTe shayad hai maujud

    lams haqiqat 'aks mujassam aawazon par kan

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now