gaDe mardon ne aksar zinda logon ki qayaadat ki
gaḌe mardoñ ne aksar zinda logoñ kī qayādat kī
mirī rāhoñ meñ bhī haa.il haiñ dīvāreñ qadāmat kī
na.ī kirneñ purāne āsmāñ meñ kyuuñ jagah paa.eñ
vo kāfir hai ki jis ne chaḌhte sūraj kī 'ibādat kī
purānī sīḌhiyoñ par maiñ na.e qadmoñ ko kyuuñ rakhūñ
girā.ūñ kis liye chhat sar pe bosīda imārat kī
tirā ehsās bhī hogā kabhī merī tarah patthar
nikal jā.egī ā.īne se parchhā.īñ nazākat kī
vo merā but thā jis ko maiñ ne apne haath se toḌā
ki barsoñ kī ye mehnat ek lamhe meñ akārat kī
agar hai naam kī ḳhvāhish to dīvāroñ pe chaspāñ kar
banā kar jhuuT ke rañgoñ se tasvīreñ sadāqat kī
abhī sīnoñ meñ lahrāte haiñ merī yaad ke parcham
abhī tak sabt haiñ mohreñ diloñ par bādshāhat kī
abhī sab harf taaza haiñ mukartā kyuuñ hai mā'nī se
siyāhī ḳhushk bhī hone nahīñ paa.ī ibārat kī
koī mīThe phaloñ kī aas meñ kyuuñ talḳh din kaaTe
kise fursat hai 'sājid' āj-kal sabr-o-qanā'at kī
gaDe mardon ne aksar zinda logon ki qayaadat ki
meri rahon mein bhi hail hain diwaren qadamat ki
nai kirnen purane aasman mein kyun jagah paen
wo kafir hai ki jis ne chaDhte suraj ki 'ibaadat ki
purani siDhiyon par main nae qadmon ko kyun rakhun
giraun kis liye chhat sar pe bosida imarat ki
tera ehsas bhi hoga kabhi meri tarah patthar
nikal jaegi aaine se parchhain nazakat ki
wo mera but tha jis ko main ne apne hath se toDa
ki barson ki ye mehnat ek lamhe mein akarat ki
agar hai nam ki KHwahish to diwaron pe chaspan kar
bana kar jhuT ke rangon se taswiren sadaqat ki
abhi sinon mein lahraate hain meri yaad ke parcham
abhi tak sabt hain mohren dilon par baadshahat ki
abhi sab harf taza hain mukarta kyun hai ma'ni se
siyahi KHushk bhi hone nahin pai ibarat ki
koi miThe phalon ki aas mein kyun talKH din kaTe
kise fursat hai 'sajid' aaj-kal sabr-o-qana'at ki
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.